Khatta tujhme hai ya mujhme, mujhe maloom nahi……
Bewafa tu hai ya wafa mujhme nahi, mujhe maloom nahi!!!!

Bas yunhi tujhe rulata hoon, satata hoon, tujhpe chillata hoon mai…….
Ye meri deewangi hai ya mera pagal pan, mujhe maloom nahi!!

Aaj kal gumshum sa rehta hoon, apne khayalon mein mai….
Yeh meri majboori hai ya tera sitam, mujhe maloom nahi!!!!!

Kabhi-2 to yu lagta hai, zindagi bojh ban gai hai meri………….
Yeh mera weham hai ya duniya ka dar, mujhe maloom nahi!!!!!!!!!

Tujhse wada bhi karu to kya karu, har ek wada tuta hai mera……….
Sayad teri kismat kharab hai, ya fir main jhootha ho gaya hoon…Mujhe maloom nahi!!!!!!!!!

Ab to mere haath kabhi uthte nahi, tujh pe ghazal likhne ke liye………
Mai bewafa ho gaya hoon, ya teri mohabbat me wo shadagi nahi, mujhe maloom nahi!!!!!!

Story to be continued...............


Waqt guzrega hum bikhar jayenge, 

kaun jane k hum kidhar jayenge! 
Hum apki parchayi hain yaad rakhna, 
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge!!


Kaise sukoon paau tujhe dekhne ke baad,

Kya gazal sunaau tujhe dekhne k baad!
Aawaz de rahi hai meri zindgi mujhe,
Jaau na jaau main tujhe dekhne ke baad!!


Teri chahat ne muze diwaana bana diya, 

Adami tha kam ka par begana bana diya!
Na apani sud hai muze ab aur na duze ki,
Muze apne aap se tune anjan bana diya!!


Duniya ka har shauk pala nahi jata,

Kaanch ke khilono ko uchala nahi jata!
Mehnat karne se mushqile ho jati hai aasan,
Kyunki har kaam taqdeero per tala nahi jata!!


Kya Baat Kahiye Duniya Ki,

Har Shakhs Ke Apne Afsaane Hain!
Jo Saamne Hai Usse Log Bura Kehte Hain,
Jisko Dekha Nahi Kabhi Usse Khuda Kehte Hain!!!


Tammanna se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswayi se darte hain!
milne ki to bahut chahat hai magar,
milne ke baad judai se darte hain!!

Today's Deal (Click on Images To Buy Now)